|
|
Welcome to
WaqasAli.Com's Poetry Section
PREVIOUS
1 2
3 4 5
6
NEXT
Sirf Tumharey Liye
Mujhay bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawwur se
Jo chaho batain keh dena
Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro gay
Hamain tum saath pao gay....... |
|
|
saat dil ke jaley dil ko nahi roka hum ne
jo na apna tha use toot chaha hum ne
aik dhooke main kati umer hamare saath
kiya batain hum kisey paya kisey khoya hum ne
|
|
|
-- "Ae Mohabbat Tere Anjaam
Pe Rona"--
aiy muhabbat tere anjaam pay ronaa ayaa
janay aaj kioon tere naam pay ronaa ayaa
kabhi takdeer kaa maattam, kabhi duniya kaa gilaa
manzil-e-ishq main her gaam pay ronaa ayaa
yoon to her shaam umeedon main guzer jaatee thee
aaj kuch baat hai jo shaam pay ronaa aaya
jab huaa ziker zamanay main muhabbat kaa (waqas )
mujh ko apnay bechare dil pay ronaa ayaa
|
|
|
--"Chalo ek baar phir se
ajnabi ban jaayin ham donon"--
chalo ek bar phir se ajnabi ban jai.n hum dono
na main tum se koee umeed rakhoon dil nawazne ki
na tum mairi taraf daikho ghalt undaz nazron se
na maire dil ki dharkan larkharae tairi baton se
na zahir ho woh tumhari kashmaksh ka raz nazron se
tumhain bhi koee uljhan rokti hai paish qadmi se
mujhe bhi log kehte hain ke yeh jalwae parae ha
|
|
samandar main
utarta hoon to aankhain bheeg jati hain
teri aankhon ko parhta hoon to aankhain bheeg jati
hain
tumhara naam likhnay ki ijaazat chin gai jab se
koi bhi lafz likhtaa hoon to aankhain bheeg jati
hain
teri yadoon ki khushboo khirkion main raqs karti hay
tere gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jati
hain
na jane hoo gaya hoon is qadar hasaas main kab se
kisi se baat kartaa hoon to aankhain bheeg jati hain
wo sab guzre howe lamhaat mujh koo yaad ate hain
tumhare khat jo parhta hoon to aankhain bheeg jati
hain
main sara din bauhat masroof rehta hoon magar joon
hi
qadam chaukhat pe rakhta hoon to aankhain bheeg jati
hain
tere kooche se ab meraa taluq waajbi saa hay
magar jab bhi guzartaa hoon to aankhain bheeg jati
hain |
|
PREVIOUS
1 2
3 4 5
6
NEXT
|
|